tohfa-e-zakhm
… patti ke neeche ab bhi woh zakhm hare hain,
kya karu, tumse mohabbat jo hai,
tumhari yaado ko zinda rakhte hain
tumhare diye hue zakhm ko zinda rakh kar …
… bikhre baal the tumahare, aur be-adab andaaz…
tahzeeb aur tameez de kar sawaar diya tha maine,
tumhe sajaa diya tha maine …
tum khush bhi hue, itraaye, sab ke saamne, naaz bhi kiya khud ke iss naye andaaz pe…
par andar hi andar kahfa the mujhse …
… nafrat tumne mujhse ki,
aur tod diya ghar kisi aur ka …
sirf woh hi nahi toota,
rishte toote. Aur toote dil.
Dil tootne pe mila mujhe woh zakhm …
… hua main kamzor tab. aur laachar bhi …
tum mujhe apni nafrato me yaad rakhte ho,
aur main tumhe apne zakhmo mein …
… tum ab bhi mujhe yaad ho, kyo ki…
… patti ke neeche ab bhi woh zakhm hare hain !!
— غازي (Ghazee)